Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ke aaine par ek sadaqat likh di kya

Aziqur Rahman Sarim

zindagi ke aaine par ek sadaqat likh di kya

Aziqur Rahman Sarim

MORE BYAziqur Rahman Sarim

    zindagī ke aa.ine par ik sadāqat likh kyā

    ek pāgal ne bhalā aisī ibārat likh kyā

    jis ke dāman par lahū ke chhīñTe chhīñTe rahe

    naam par us ke chaman ab imāmat likh kyā

    sach ko sach kahnā jahāñ par ho gunāhoñ meñ shumār

    ek shā.ir ne jigar se ye haqīqat likh kyā

    saikḌoñ ma.asūm ke jo qatl mujrim huā

    dekhiye munsif ne us ab zamānat likh kyā

    nafratoñ ke biij jo botā rahā hai umr bhar

    phir usī ke naam tum ne ye mohabbat likh kyā

    jis ne sajda kar liyā ho vaqt ke shah yahāñ

    naam us ke ḳhūbsūrat imārat likh kyā

    maiñ ne to bas aa.ina ik dikhāyā thā faqat

    vaqt ke munsif ne us ko bhī baġhāvat likh kyā

    vaqt dīvār par maiñ ne jo dekhā thā kabhī

    chalte chalte us ai 'sārim' sarāhat likh kyā

    zindagi ke aaine par ek sadaqat likh di kya

    ek pagal ne bhala aisi ibarat likh di kya

    jis ke daman par lahu ke chhinTe hi chhinTe rahe

    nam par us ke chaman ki ab imamat likh di kya

    sach ko sach kahna jahan par ho gunahon mein shumar

    ek shair ne jigar se ye haqiqat likh di kya

    saikDon masum ke jo qatl ka mujrim hua

    dekhiye munsif ne us ki ab zamanat likh di kya

    nafraton ke bij jo bota raha hai umr bhar

    phir usi ke nam tum ne ye mohabbat likh di kya

    jis ne sajda kar liya ho waqt ke shah ka yahan

    nam us ke KHubsurat si imarat likh di kya

    main ne to bas aaina hi ek dikhaya tha faqat

    waqt ke munsif ne us ko bhi baghawat likh di kya

    waqt ki diwar par main ne jo dekha tha kabhi

    chalte chalte us ki ai 'sarim' sarahat likh di kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now