Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ke hath mein hai aaina TuTa hua

Javed Akram

zindagi ke hath mein hai aaina TuTa hua

Javed Akram

MORE BYJaved Akram

    zindagī ke haath meñ hai aa.ina TuuTā huā

    aadmī se aadmī rābta TuuTā huā

    narm-o-nāzuk phuul se chehroñ pe sūraj kiran

    kis tarah tai kar sakeñge fāsla TuuTā huā

    kirchiyāñ bikhre hue ḳhvāboñ maiñ chunñe lagā

    dekh kar rāhoñ meñ koī naqsh-e-pā TuuTā huā

    garm mausam na chheḌo zikr is māhaul meñ

    aao phir se joḌ leñ vo silsila TuuTā huā

    aaj duniyā meñ rahbar zarūrat hai hameñ

    joḌ de shāyad koī phir hausla TuuTā huā

    raushnī daur hai 'jāved' lekin aaj bhī

    mere darvāze pe rakkhā hai diyā TuuTā huā

    zindagi ke hath mein hai aaina TuTa hua

    aadmi se aadmi ka rabta TuTa hua

    narm-o-nazuk phul se chehron pe suraj ki kiran

    kis tarah tai kar sakenge fasla TuTa hua

    kirchiyan bikhre hue KHwabon ki main chunne laga

    dekh kar rahon mein koi naqsh-e-pa TuTa hua

    garm mausam ka na chheDo zikr is mahaul mein

    aao phir se joD len wo silsila TuTa hua

    aaj ki duniya mein rahbar ki zarurat hai hamein

    joD de shayad koi phir hausla TuTa hua

    raushni ka daur hai 'jawed' lekin aaj bhi

    mere darwaze pe rakkha hai diya TuTa hua

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now