Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah

Sattar Syed

zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah

Sattar Syed

MORE BYSattar Syed

    zindagī ke kaTahre meñ ik be-ḳhatā aadmī tarah

    ham muḳhātib hue aap se be-navā aadmī tarah

    dūriyoñ se ubhartā huā aks tasvīr bantā gayā

    guftugū raat kartī thī ham se havā aadmī tarah

    kaun kyā sochtā hai hamāre ravayyoñ pe sochā nahīñ

    umr ham ne guzārī hai ik mubtalā aadmī tarah

    rauzanoñ tak se koī makīñ jhāñktā ye bhī mumkin na thā

    dastakeñ detī phirtī thī bād-e-sabā aadmī tarah

    zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah

    hum muKHatib hue aap se be-nawa aadmi ki tarah

    duriyon se ubharta hua aks taswir banta gaya

    guftugu raat karti thi hum se hawa aadmi ki tarah

    kaun kya sochta hai hamare rawayyon pe socha nahin

    umr hum ne guzari hai ek mubtala aadmi ki tarah

    rauzanon tak se koi makin jhankta ye bhi mumkin na tha

    dastaken deti phirti thi baad-e-saba aadmi ki tarah

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 536)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: 25Edition Nov. Dec. 1986
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now