Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ke surur the tujhse

Manish Shukla

zindagi ke surur the tujhse

Manish Shukla

MORE BYManish Shukla

    zindagī ke surūr the tujh se

    apne saare ġhurūr the tujh se

    abhī hāfize meñ baaqī hai

    kuchh marāsim zarūr the tujh se

    tere kitnā qarīb baiThe the

    phir bhī kis darja duur the tujh se

    ab kahāñ shā'irī mayassar hai

    aise saare futūr the tujh se

    kyā huā phir hameñ nahīñ mā'lūm

    ham to Takrā ke chuur the tujh se

    ab to dīvāna-vār hañste haiñ

    saare ‘ilm-o-shu’ūr the tujh se

    zindagi ke surur the tujh se

    apne sare ghurur the tujh se

    tu abhi hafize mein baqi hai

    kuchh marasim zarur the tujh se

    tere kitna qarib baiThe the

    phir bhi kis darja dur the tujh se

    ab kahan sha'iri mayassar hai

    aise sare futur the tujh se

    kya hua phir hamein nahin ma'lum

    hum to Takra ke chur the tujh se

    ab to diwana-war hanste hain

    sare ‘ilm-o-shu’ur the tujh se

    Source :
    • Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 123)
    • Author : Manish Shukla
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now