zindagi ke udas lamhe the
zindagī ke udaas lamhe the
mere andar sulagte rahte the
siskiyāñ duur tak na jaatī thiiñ
dard ke kuchh luTe se ḳheme the
un pe tanhā.iyāñ barastī thiiñ
jaane vo kis taraf se aa.e the
raah meñ ik charāġh jaltā thā
fāsle yuuñ pighalte rahte the
mere toshe meñ chand rāteñ thiiñ
mere hisse meñ chand saa.e the
ḳhud ko pahchāntā bhī kaise maiñ
saare chehre hī apne jaise the
yak-ba-yak ye ḳhayāl aayā thā
kaun the ham kahāñ se aa.e the
zindagi ke udas lamhe the
mere andar sulagte rahte the
siskiyan dur tak na jati thin
dard ke kuchh luTe se KHeme the
un pe tanhaiyan barasti thin
jaane wo kis taraf se aae the
rah mein ek charagh jalta tha
fasle yun pighalte rahte the
mere toshe mein chand raaten thin
mere hisse mein chand sae the
KHud ko pahchanta bhi kaise main
sare chehre hi apne jaise the
yak-ba-yak ye KHayal aaya tha
kaun the hum kahan se aae the
- Book : Ishq (Pg. 59)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.