Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi KHak-basar shola-ba-jaan aaj bhi hai

Abu Mohammad Sahar

zindagi KHak-basar shola-ba-jaan aaj bhi hai

Abu Mohammad Sahar

MORE BYAbu Mohammad Sahar

    zindagī ḳhāk-basar shola-ba-jāñ aaj bhī hai

    tujh ko kho kar tujhe paane gumāñ aaj bhī hai

    ek be-nām uljhan hai dil-o-jāñ pe muhīt

    ek ġham naam ehsās-e-ziyāñ aaj bhī hai

    ḳhaak se tā-ba-falak terī nigāhoñ tilism

    Thahrā Thahrā jahān-e-guzarāñ aaj bhī hai

    tark-e-ulfat meñ bhī ulfat ke nishāñ baaqī haiñ

    qāfila luT ke tirī samt ravāñ aaj bhī hai

    kitne saaqī haiñ ki haiñ jām-ba-kaf kal tarah

    shuġhl-e-mai hai ki 'sahar' bār-e-garāñ aaj bhī hai

    zindagi KHak-basar shola-ba-jaan aaj bhi hai

    tujh ko kho kar tujhe pane ka guman aaj bhi hai

    ek be-nam si uljhan hai dil-o-jaan pe muhit

    ek gham nam sa ehsas-e-ziyan aaj bhi hai

    KHak se ta-ba-falak teri nigahon ka tilism

    Thahra Thahra sa jahan-e-guzaran aaj bhi hai

    tark-e-ulfat mein bhi ulfat ke nishan baqi hain

    qafila luT ke teri samt rawan aaj bhi hai

    kitne saqi hain ki hain jam-ba-kaf kal ki tarah

    shughl-e-mai hai ki 'sahar' bar-e-garan aaj bhi hai

    Source:

    Barg-e-Sahar (Pg. 100)

    • Author: Abu Mohammad Sahar
      • Edition: 2002
      • Publisher: Maktaba-e-Adab
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now