Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi KHud hi halif-e-rah-e-gham hoti hai

Rafiuddin Raz

zindagi KHud hi halif-e-rah-e-gham hoti hai

Rafiuddin Raz

MORE BYRafiuddin Raz

    zindagī ḳhud halīf-e-rah-e-ġham hotī hai

    bojh baḌhtā hai to raftār bhī kam hotī hai

    os buuñd se ḳhvāboñ ko likhā karte haiñ

    dhuup shakl meñ ta.abīr raqam hotī hai

    inkisār āshnā hotā hai anā paikar

    peḌ ḳham ho ki na ho shāḳh to ḳham hotī hai

    ik kasak chuTkiyāñ letī hai azal se dil meñ

    ik ḳhalish hai ki jo baḌhtī hai na kam hotī hai

    phuul shabnam rifāqat se paatā hai jilā

    aañkh nam ho ke shā.ista-e-ġham hotī hai

    umr bhar ḳhaak uḌātī hai saroñ par sab ke

    yuuñ to kahne ko zamīñ zer-e-qadam hotī hai

    zindagi KHud hi halif-e-rah-e-gham hoti hai

    bojh baDhta hai to raftar bhi kam hoti hai

    os ki bund se KHwabon ko likha karte hain

    dhup ki shakl mein tabir raqam hoti hai

    inkisar aashna hota hai ana ka paikar

    peD KHam ho ki na ho shaKH to KHam hoti hai

    ek kasak chuTkiyan leti hai azal se dil mein

    ek KHalish hai ki jo baDhti hai na kam hoti hai

    phul shabnam ki rifaqat hi se pata hai jila

    aankh nam ho ke hi shaista-e-gham hoti hai

    umr bhar KHak uDati hai saron par sab ke

    yun to kahne ko zamin zer-e-qadam hoti hai

    Source:

    Binaee (Pg. 36)

    • Author: Rafiuddin Raz
      • Publisher: Maktaba-e-Saqib, Karachi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now