zindagi KHwab hui jati hai ai shoKH-adao
zindagī ḳhvāb huī jaatī hai ai shoḳh-adāo
phir koī hashr uThāo kisī fitne ko jagāo
'ishq ko lutf-e-musalsal se na be-kaif karo
gahe taskīñ bhī diye jaao gahe dil bhī dukhāo
dil taḌaptā bhī nahīñ ashk umañDte bhī nahīñ
haa.e vo vaqt ki jab aatā hai ġham meñ Thahrāv
zindagī kī koī aahaT to ho ġham-ḳhāne meñ
ai havāo tumhīñ darvāze kī zanjīr hilāo
kuchh ujālā to ho vīrāna-e-dil meñ ai 'zeb'
jis jagah sham' na Thahre vahāñ aañsū chamkāo
zindagi KHwab hui jati hai ai shoKH-adao
phir koi hashr uThao kisi fitne ko jagao
'ishq ko lutf-e-musalsal se na be-kaif karo
gahe taskin bhi diye jao gahe dil bhi dukhao
dil taDapta bhi nahin ashk umanDte bhi nahin
hae wo waqt ki jab aata hai gham mein Thahraw
zindagi ki koi aahaT to ho gham-KHane mein
ai hawao tumhin darwaze ki zanjir hilao
kuchh ujala to ho virana-e-dil mein ai 'zeb'
jis jagah sham' na Thahre wahan aansu chamkao
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 79)
- Author : Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.