Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ki chahat mein zindagi se mat khelo

Raees Akhtar

zindagi ki chahat mein zindagi se mat khelo

Raees Akhtar

MORE BYRaees Akhtar

    zindagī chāhat meñ zindagī se mat khelo

    raushnī ke dīvāno raushnī se mat khelo

    ai butān-e-be-parva kuchh ḳhudā nahīñ ho tum

    pyaar ḳhudā.ī meñ bandagī se mat khelo

    aap ne kar Daalā zindagī se begāna

    aap to kahte the zindagī se mat khelo

    pyaar dil saudā hai aql dil bīmārī

    dostī ke parde meñ dostī se mat khelo

    raushnī ḳhvāhish meñ jal uThe na pairāhan

    raushnī meñ sho.ale haiñ raushnī se mat khelo

    tum se kuchh nahīñ matlab haañ magar ḳhirad-mando

    ham junūñ-parastoñ āgahī se mat khelo

    naġhma-e-tamannā se ḳhūn-e-dil Tapaktā hai

    ishratoñ ke matavālo shā.irī se mat khelo

    mehr-o-māh rahte haiñ tīrgī ke siine meñ

    bhuul kar 'ra.īs'-aḳhtar tīrgī se mat khelo

    zindagi ki chahat mein zindagi se mat khelo

    raushni ke diwano raushni se mat khelo

    ai butan-e-be-parwa kuchh KHuda nahin ho tum

    pyar ki KHudai mein bandagi se mat khelo

    aap hi ne kar Dala zindagi se begana

    aap hi to kahte the zindagi se mat khelo

    pyar dil ka sauda hai aql dil ki bimari

    dosti ke parde mein dosti se mat khelo

    raushni ki KHwahish mein jal uThe na pairahan

    raushni mein shoale hain raushni se mat khelo

    tum se kuchh nahin matlab han magar KHirad-mando

    hum junun-paraston ki aagahi se mat khelo

    naghma-e-tamanna se KHun-e-dil Tapakta hai

    ishraton ke matawalo shairi se mat khelo

    mehr-o-mah rahte hain tirgi ke sine mein

    bhul kar 'rais'-aKHtar tirgi se mat khelo

    Source:

    Aina-e-dil (Pg. E-39 B-37)

    • Author: Raees Akhtar
      • Edition: 1979
      • Publisher: Urdu Academy, Hyderabad
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now