zindagi ki hai rah-guzar tanha
zindagī kī hai rah-guzar tanhā
saath sab hai magar safar tanhā
thī kabhī ḳhushiyāñ har taraf ghar meñ
aaj maiñ aur merā ghar tanhā
saayā bhī ab nahīñ nazar aatā
ziist hai aaj is qadar tanhā
saath chaltā rahā maiñ bin pūchhe
zindagī le chalī jidhar tanhā
zindagī ne bahut diyā mujh ko
sab rahā paas meñ magar tanhā
zindagi ki hai rah-guzar tanha
sath sab hai magar safar tanha
thi kabhi KHushiyan har taraf ghar mein
aaj main aur mera ghar tanha
saya bhi ab nahin nazar aata
zist hai aaj is qadar tanha
sath chalta raha main bin puchhe
zindagi le chali jidhar tanha
zindagi ne bahut diya mujh ko
sab raha pas mein magar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.