Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ki talKHiyon par KHak Dali jaegi

Kamal Kataria Karan

zindagi ki talKHiyon par KHak Dali jaegi

Kamal Kataria Karan

MORE BYKamal Kataria Karan

    zindagī talḳhiyoñ par ḳhaak Daalī jā.egī

    is tarah se zindagī āsāñ banā jā.egī

    surḳh āñkheñ zard chehra sard aa.heñ dil udaas

    ab kisī sūrat to ye sūrat sañbhālī jā.egī

    majlisī maanā tabassum hai laboñ par in dinoñ

    is pe ummīdoñ phir se niiñv Daalī jā.egī

    pairahan ye hasratoñ ab rafū hogā janāb

    har ḳhushī jo ruuTh baiThī thī manā jā.egī

    zindagī ke isti’āre phir badal jā.eñge ab

    phir tamannā ḳhūb-sūrat dil meñ paalī jā.egī

    dard-o-ġham ab yahāñ tāsīr ulTegī miyāñ

    choT bhī dil hunar apnā banā jā.egī

    chiir degī āsmāñ tak kaleja ek din

    mat samajhnā āh-e-bekas hai to kHālī jā.egī

    ham badal Dāleñge likkhā kātib-e-taqdīr

    apnī qismat apne hāthoñ se sajā jā.egī

    qahqahe gūñjeñge har pal ab fazāoñ meñ 'karan'

    dard ab roz-o-shab mayyat nikālī jā.egī

    zindagi ki talKHiyon par KHak Dali jaegi

    is tarah se zindagi aasan bana li jaegi

    surKH aankhen zard chehra sard aahen dil udas

    ab kisi surat to ye surat sanbhaali jaegi

    majlisi mana tabassum hai labon par in dinon

    is pe ummidon ki phir se ninw Dali jaegi

    pairahan ye hasraton ka ab rafu hoga janab

    har KHushi jo ruTh baiThi thi mana li jaegi

    zindagi ke isti’are phir badal jaenge ab

    phir tamanna KHub-surat dil mein pali jaegi

    dard-o-gham ki ab yahan tasir ulTegi miyan

    choT bhi dil ki hunar apna bana li jaegi

    chir degi aasman tak ka kaleja ek din

    mat samajhna aah-e-bekas hai to kHali jaegi

    hum badal Dalenge likkha katib-e-taqdir ka

    apni qismat apne hathon se saja li jaegi

    qahqahe gunjenge har pal ab fazaon mein 'karan'

    dard ki ab roz-o-shab mayyat nikali jaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now