aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi mein usko kaif-e-zindagi hasil nahin

Ehsan Danish

zindagi mein usko kaif-e-zindagi hasil nahin

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    zindagī meñ us ko kaif-e-zindagī hāsil nahīñ

    jis dil rāz-o-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ

    husn ke parde meñ ho saktā nahīñ hargiz qarār

    roz-e-avval se ye lailā ḳhūgar-e-mahmil nahīñ

    qadr kar dil ki dargāh-e-ḳhudā meñ ai nadīm

    do-jahāñ ne.amateñ hāzir haiñ lekin dil nahīñ

    hoshiyār ai mast-o-madhosh-e-javānī hoshiyār

    ishq vo dariyā hai jo minnat-kash-e-sāhil nahīñ

    zabt-e-nāla zabt-e-girya zabt-e-ulfat zabt-e-shauq

    kis tarah kah duuñ ki ye āsāniyāñ mushkil nahīñ

    apnā rasta apnī dhun apnā tasavvur apnā shauq

    koī bhī rahbaro yahāñ begāna-e-manzil nahīñ

    hai tasavvur ishrat-e-māzī ā.īna-ba-dast

    dil vahī dil hai magar vo garmī-e-mahfil nahīñ

    der kyā hai aa mire dil meñ samā barq-e-nāz

    shikva-sanjī fitrat-e-ehsān meñ dāḳhil nahīñ

    iltimās-e-shauq par 'ehsān' mahshar Dah gayā

    un sharmā kar ye kahnā maiñ tire qābil nahīñ

    zindagi mein us ko kaif-e-zindagi hasil nahin

    jis ka dil raaz-o-niyaz-e-ishq ke qabil nahin

    husn ke parde mein ho sakta nahin hargiz qarar

    roz-e-awwal se ye laila KHugar-e-mahmil nahin

    qadr kar dil ki ki dargah-e-KHuda mein ai nadim

    do-jahan ki neamaten hazir hain lekin dil nahin

    hoshiyar ai mast-o-madhosh-e-jawani hoshiyar

    ishq wo dariya hai jo minnat-kash-e-sahil nahin

    zabt-e-nala zabt-e-girya zabt-e-ulfat zabt-e-shauq

    kis tarah kah dun ki ye aasaniyan mushkil nahin

    apna rasta apni dhun apna tasawwur apna shauq

    koi bhi rahbaro yahan begana-e-manzil nahin

    hai tasawwur ishrat-e-mazi ka aaina-ba-dast

    dil wahi dil hai magar wo garmi-e-mahfil nahin

    der kya hai aa mere dil mein sama ja barq-e-naz

    shikwa-sanji fitrat-e-ehsan mein daKHil nahin

    iltimas-e-shauq par 'ehsan' mahshar Dah gaya

    un ka sharma kar ye kahna main tere qabil nahin

    Source:

    Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 179)

    • Author: Shabnam Parveen
      • Edition: 2006
      • Publisher: Asghar Publishers
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now