Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi meri mujhe degi sazaen kab tak

Minhaj Naqeeb

zindagi meri mujhe degi sazaen kab tak

Minhaj Naqeeb

MORE BYMinhaj Naqeeb

    zindagī merī mujhe degī sazā.eñ kab tak

    rā.egāñ jā.eñgī rātoñ duā.eñ kab tak

    chāñdnī pyaar jis ghar meñ utar jā.egī

    us ko Thukrā.eñgī nafrat ghaTā.eñ kab tak

    dil ko jo zaḳhm diye ne vo nāsūr bane

    kah de ki zamāne se chhupā.eñ kab tak

    aaj ke daur insān pareshāñ hai bahut

    us ko bhaTkā.eñgī gum-karda dishā.eñ kab tak

    aaj insāf tijorī meñ muqayyad hai yahāñ

    sab ke darvāzoñ pe ham deñge sadā.eñ kab tak

    zindagi meri mujhe degi sazaen kab tak

    raegan jaengi raaton ki duaen kab tak

    chandni pyar ki jis ghar mein utar jaegi

    us ko Thukraengi nafrat ki ghaTaen kab tak

    dil ko jo zaKHm diye tu ne wo nasur bane

    tu hi kah de ki zamane se chhupaen kab tak

    aaj ke daur ka insan pareshan hai bahut

    us ko bhaTkaengi gum-karda dishaen kab tak

    aaj insaf tijori mein muqayyad hai yahan

    sab ke darwazon pe hum denge sadaen kab tak

    Source:

    (Pg. 46)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now