Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ne baKHsha hai zahr-e-agahi mujhko

Saleem Betab

zindagi ne baKHsha hai zahr-e-agahi mujhko

Saleem Betab

MORE BYSaleem Betab

    zindagī ne baḳhshā hai zahr-e-āgahī mujh ko

    kar diyā gayā andhā de ke raushnī mujh ko

    ḳhvāb har ik shīsha sau jagah se TuuTā hai

    kis qadar paḌī mahñgī ā.īna-garī mujh ko

    dūsroñ se nafrat ḳhvāb tak na dekhūñgā

    dosto ḳhud apne se ishq sahī mujh ko

    maiñ jahāñ bhī huuñ lekin mutma.in to baiThā huuñ

    tere rushd se behtar merī gumrahī mujh ko

    is tarah to but ban kar mere paas mat baiTh

    ḳhaar ban ke chubhtī hai terī ḳhāmushī mujh ko

    ye mirā muqaddar hai tirī sharārat hai

    kyuuñ lahū rulātī hai terī dostī mujh ko

    bas tujhe paane ko vaqf thī mirī parvāz

    le uḌā ḳhalāoñ meñ zauq-e-bandagī mujh ko

    maiñ ki din beTā huuñ raushnī ugaltā huuñ

    kyā bhalā Darā.egī shab tīrgī mujh ko

    ḳhvāb ke jazīroñ par giit kis tarah likkhūñ

    har-qadam pe Dastī hai jab ki zindagī mujh ko

    zindagi ne baKHsha hai zahr-e-agahi mujh ko

    kar diya gaya andha de ke raushni mujh ko

    KHwab ka har ek shisha sau jagah se TuTa hai

    kis qadar paDi mahngi aaina-gari mujh ko

    dusron se nafrat ka KHwab tak na dekhunga

    dosto KHud apne se ishq hi sahi mujh ko

    main jahan bhi hun lekin mutmain to baiTha hun

    tere rushd se behtar meri gumrahi mujh ko

    is tarah to but ban kar mere pas mat tu baiTh

    KHar ban ke chubhti hai teri KHamushi mujh ko

    ye mera muqaddar hai ya teri shararat hai

    kyun lahu rulati hai teri dosti mujh ko

    bas tujhe hi pane ko waqf thi meri parwaz

    le uDa KHalaon mein zauq-e-bandagi mujh ko

    main ki din ka beTa hun raushni ugalta hun

    kya bhala Daraegi shab ki tirgi mujh ko

    KHwab ke jaziron par git kis tarah likkhun

    har-qadam pe Dasti hai jab ki zindagi mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now