zindagi roz banati hai bahane kya kya
zindagī roz banātī hai bahāne kyā kyā
jaane rahte haiñ abhī khel dikhāne kyā kyā
sirf āñkhoñ kī namī hī to nahīñ maz.har-e-ġham
kuchh tabassum bhī jatā dete haiñ jaane kyā kyā
ḳhaTkeñ is aañkh meñ to dhaḌkeñ kabhī us dil meñ
dar-ba-dar ho ke bhī apne haiñ Thikāne kyā kyā
bol paḌtā to mirī baat mirī hī rahtī
ḳhāmushī ne haiñ diye sab ko fasāne kyā kyā
shahr meñ rañg jamā gaañv meñ fasleñ ujḌīñ
hashr uThāyā binā mausam kī ghaTā ne kyā kyā
ḳhvāb o ummīd kā haq, aah kā fariyād kā haq
tujh pe vaar aa.e haiñ ye tere divāne kyā kyā
zindagi roz banati hai bahane kya kya
jaane rahte hain abhi khel dikhane kya kya
sirf aankhon ki nami hi to nahin mazhar-e-gham
kuchh tabassum bhi jata dete hain jaane kya kya
KHaTken is aankh mein to dhaDken kabhi us dil mein
dar-ba-dar ho ke bhi apne hain Thikane kya kya
bol paDta to meri baat meri hi rahti
KHamushi ne hain diye sab ko fasane kya kya
shahr mein rang jama ganw mein faslen ujDin
hashr uThaya bina mausam ki ghaTa ne kya kya
KHwab o ummid ka haq, aah ka fariyaad ka haq
tujh pe war aae hain ye tere diwane kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.