zindagi safar par hai
zindagī safar par hai
be-gharī muqaddar hai
ḳhāk-dāñ meñ rahtā hai
dil bhī ik qalandar hai
koī jal rahā hai aur
sāmne samundar hai
aa.ina hai pahlū meñ
aur dīda-e-tar hai
koī Thokaroñ meñ hai
daar par koī sar hai
sar pe ik sitāra hai
ik charāġh ghar par hai
zindagi safar par hai
be-ghari muqaddar hai
KHak-dan mein rahta hai
dil bhi ek qalandar hai
koi jal raha hai aur
samne samundar hai
aaina hai pahlu mein
aur dida-e-tar hai
koi Thokaron mein hai
dar par koi sar hai
sar pe ek sitara hai
ek charagh ghar par hai
- Book : Ishq (Pg. 57)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.