zindagi se mujhe chhuDa bhi de
zindagī se mujhe chhuḌā bhī de
chain kī niiñd ab sulā bhī de
thak gayā huuñ musībatoñ se maiñ
haañ mujhe ab kafan uḌhā bhī de
rāste band ho chuke haiñ sab
ab nayā rāsta banā bhī de
ḳhuub jhelā bure payāmoñ ko
kuchh ḳhabar ḳhair kī sunā bhī de
pūchhte haiñ sabhī mirā pesha
kyā kahūñ maiñ zarā batā bhī de
sabr kī intihā huī yā-rab
ab mujhe sabr kā sila bhī de
zindagi se mujhe chhuDa bhi de
chain ki nind ab sula bhi de
thak gaya hun musibaton se main
han mujhe ab kafan uDha bhi de
raste band ho chuke hain sab
ab naya rasta bana bhi de
KHub jhela bure payamon ko
kuchh KHabar KHair ki suna bhi de
puchhte hain sabhi mera pesha
kya kahun main zara bata bhi de
sabr ki intiha hui ya-rab
ab mujhe sabr ka sila bhi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.