Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi se umr-bhar tak chalne ka wada kiya

Gautam Rajrishi

zindagi se umr-bhar tak chalne ka wada kiya

Gautam Rajrishi

MORE BYGautam Rajrishi

    zindagī se umr-bhar tak chalne va.ada kiyā

    ai mirī kambaḳht sāñso haa.e tum ne kyā kiyā

    ibtidā-e-hosh se achchhā-bhalā patthar thā maiñ

    ik nazar bas dekh kar ne mujhe dariyā kiyā

    ek bas ḳhāmosh se lamhe ḳhvāhish to thī

    aur usī ḳhvāhish ne lekin shor phir kitnā kiyā

    lutf ab dene lagī hai ye udāsī bhī mujhe

    shukriya terā ki ne jo kiyā achchhā kiyā

    sochtā huuñ kaun se ilzām aur ab rah ga.e

    haañ tujhe chāhā tujhe puujā tirā sajda kiyā

    nahīñ tasvīr apnī ne dīvāne ko jab

    yuuñ kiyā vallāh us ne ḳhud ko tujh kiyā

    kab talak āḳhir ye sahtī rahtī ḳhvāboñ tapish

    tañg aa kar niiñd ne palkoñ se lo tauba kiyā

    zindagi se umr-bhar tak chalne ka wada kiya

    ai meri kambaKHt sanso hae tum ne kya kiya

    ibtida-e-hosh se achchha-bhala patthar tha main

    ek nazar bas dekh kar tu ne mujhe dariya kiya

    ek bas KHamosh se lamhe ki KHwahish hi to thi

    aur usi KHwahish ne lekin shor phir kitna kiya

    lutf ab dene lagi hai ye udasi bhi mujhe

    shukriya tera ki tu ne jo kiya achchha kiya

    sochta hun kaun se ilzam aur ab rah gae

    han tujhe chaha tujhe puja tera sajda kiya

    di nahin taswir apni tu ne diwane ko jab

    yun kiya wallah us ne KHud ko hi tujh sa kiya

    kab talak aaKHir ye sahti rahti KHwabon ki tapish

    tang aa kar nind ne palkon se lo tauba kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now