zindagi shola-fishan guzri hai
zindagī sho'la-fishāñ guzrī hai
aur sar-e-āb-e-ravāñ guzrī hai
muskurātī huī ik shoḳh kiran
merī jānib nigarāñ guzrī hai
kah rahī hoñ vo nigāheñ jaise
ajnabī raat kahāñ guzrī hai
āḳhir-e-shab vo sitāroñ kī phuvār
shīsha-e-dil pe girāñ guzrī hai
ik lajā.ī huī parchhā.īñ sī
bar-sar-e-rāh-e-gumāñ guzrī hai
haa.e kis ḳhushk zabāñ se patte
kah rahe haiñ ki ḳhizāñ guzrī hai
chāñdnī thī ki tire jism kī aañch
raat kis darja tapāñ guzrī hai
maiñ to āzurda-e-vahshat huuñ magar
tum pe kyā ahl-e-jahāñ guzrī hai
qalb-e-gardūñ se mirī āh-e-rasā
sūrat-e-kāhkashāñ guzrī hai
zindagi sho'la-fishan guzri hai
aur sar-e-ab-e-rawan guzri hai
muskuraati hui ek shoKH kiran
meri jaanib nigaran guzri hai
kah rahi hon wo nigahen jaise
ajnabi raat kahan guzri hai
aaKHir-e-shab wo sitaron ki phuwar
shisha-e-dil pe giran guzri hai
ek lajai hui parchhain si
bar-sar-e-rah-e-guman guzri hai
hae kis KHushk zaban se patte
kah rahe hain ki KHizan guzri hai
chandni thi ki tere jism ki aanch
raat kis darja tapan guzri hai
main to aazurda-e-wahshat hun magar
tum pe kya ahl-e-jahan guzri hai
qalb-e-gardun se meri aah-e-rasa
surat-e-kahkashan guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.