Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi tujhko bhi aur tera tamasha dekhun

Dheerendra Singh Faiyaz

zindagi tujhko bhi aur tera tamasha dekhun

Dheerendra Singh Faiyaz

MORE BYDheerendra Singh Faiyaz

    zindagī tujh ko bhī aur terā tamāsha dekhūñ

    apnī ma.asūm āñkhoñ se maiñ kyā kyā dekhūñ

    kyā sivā is ke bhalā aur nazāra dekhūñ

    raat shāḳh pe us chāñd ko baiThā dekhūñ

    raqs kartā huā guzrā hai abhī hijr dukh

    dhuul chhaT jaa.e to aage bhī rasta dekhūñ

    ek vo din thā ki ik shaḳhs thā duniyā merī

    ek ye din hai ki har shaḳhs meñ duniyā dekhūñ

    merī niyyat to bahut baar parakh us ne

    maiñ bhī us shaḳhs is baar irāda dekhūñ

    vaqt ke saath to ḳhud vaqt badal jaatā hai

    so ḳhvāhish hai ki maiñ ḳhud ko badaltā dekhūñ

    aur bol paḌe palkeñ to jhapkāyā karo

    sochtā huuñ tirī tasvīr ko itnā dekhūñ

    zindagi tujh ko bhi aur tera tamasha dekhun

    apni masum si aankhon se main kya kya dekhun

    kya siwa is ke bhala aur nazara dekhun

    raat ki shaKH pe us chand ko baiTha dekhun

    raqs karta hua guzra hai abhi hijr ka dukh

    dhul chhaT jae to aage ka bhi rasta dekhun

    ek wo din tha ki ek shaKHs tha duniya meri

    ek ye din hai ki har shaKHs mein duniya dekhun

    meri niyyat to bahut bar parakh li us ne

    main bhi us shaKHs ka is bar irada dekhun

    waqt ke sath to KHud waqt badal jata hai

    so hi KHwahish hai ki main KHud ko badalta dekhun

    aur tu bol paDe palken to jhapkaya karo

    sochta hun teri taswir ko itna dekhun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now