Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi tujhko tere jine ki aadat kha gai

Tarab Siddiqi

zindagi tujhko tere jine ki aadat kha gai

Tarab Siddiqi

MORE BYTarab Siddiqi

    zindagī tujh ko tire jiine aadat khā ga.ī

    dhuup is bastī ye ūñchī imārat khā ga.ī

    vaz.a-dārī aur ravā-dārī ke vo jalve kahāñ

    zehn-o-dil kaj-ravī husn-e-sharāfat khā ga.ī

    aap ke alfāz bhaḌke hue sho.ale haiñ ye

    rishta-e-iḳhlās ko un tamāzat khā ga.ī

    dekhiye zehnī kudūrat aur ḳhabāsat mazāq

    ik ibādat-gāh ye gandī siyāsat khā ga.ī

    kho ga.iiñ sher-o-suḳhan husn-e-bayāñ lazzateñ

    saarā husn-e-shā.irī sikkoñ chāhat khā ga.ī

    dā.ere hirs-o-havas ke jis qadar baḌhte ga.e

    ḳhud-farāmoshī baḌhī husn-e-qanā.at khā ga.ī

    kitnī labrez ho husn-e-ma.ānī se 'tarab'

    un ke andāz-e-taḳhātub ko tavālat khā ga.ī

    zindagi tujh ko tere jine ki aadat kha gai

    dhup is basti ki ye unchi imarat kha gai

    waza-dari aur rawa-dari ke wo jalwe kahan

    zehn-o-dil ki kaj-rawi husn-e-sharafat kha gai

    aap ke alfaz ya bhaDke hue shoale hain ye

    rishta-e-iKHlas ko un ki tamazat kha gai

    dekhiye zehni kudurat aur KHabasat ka mazaq

    ek ibaadat-gah ye gandi siyasat kha gai

    kho gain sher-o-suKHan husn-e-bayan ki lazzaten

    sara husn-e-shairi sikkon ki chahat kha gai

    daere hirs-o-hawas ke jis qadar baDhte gae

    KHud-faramoshi baDhi husn-e-qanaat kha gai

    kitni hi labrez ho husn-e-maani se 'tarab'

    un ke andaz-e-taKHatub ko tawalat kha gai

    Source:

    Tasawwurat Ka Rang (Pg. 140)

    • Author: Tarab Siddiqi
      • Publisher: Tarab Siddiqi
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now