Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi tujh pe giran hai tu marega kaise

Shohrat Bukhari

zindagi tujh pe giran hai tu marega kaise

Shohrat Bukhari

MORE BYShohrat Bukhari

    zindagī tujh pe girāñ hai maregā kaise

    jis ko ronā nahīñ aatā vo hañsegā kaise

    merī āñkhoñ meñ koī ashk na hoñToñ pe ġhazal

    dāstān-e-ġham-e-dil koī sunegā kaise

    haath shal ho ga.e dil dard se mahrūm huā

    parda chhoḌā hai jo us ne vo haTegā kaise

    kaisā nādān hai jab mirā dil toḌā thā

    ye na sochā ki tujhe yaad karegā kaise

    āstāñ chhoḌ ke terā maiñ kahīñ na rahā

    baiThnā aa.e na jis ko vo chalegā kaise

    ab ke shohrat ko ḳhabar hai tirī bad-ḳhūī

    marsiya dil tire aage paḌegā kaise

    zindagi tujh pe giran hai tu marega kaise

    jis ko rona nahin aata wo hansega kaise

    meri aankhon mein koi ashk na honTon pe ghazal

    dastan-e-gham-e-dil koi sunega kaise

    hath shal ho gae dil dard se mahrum hua

    parda chhoDa hai jo us ne wo haTega kaise

    kaisa nadan hai tu jab mera dil toDa tha

    ye na socha ki tujhe yaad karega kaise

    aastan chhoD ke tera main kahin ka na raha

    baiThna aae na jis ko wo chalega kaise

    ab ke shohrat ko KHabar hai teri bad-KHui ki

    marsiya dil ka tere aage paDega kaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now