aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi tujhse bichhaD kar main jiya ek baras

Rifat Sarosh

zindagi tujhse bichhaD kar main jiya ek baras

Rifat Sarosh

MORE BYRifat Sarosh

    zindagī tujh se bichhaḌ kar maiñ jiyā ek baras

    zahr tanhā.ī hañs hañs ke piyā ek baras

    ik añdhere bhañvar thā mirā māhaul magar

    kaam ashkoñ se charāġhoñ liyā ek baras

    kisī āñdhī kisī tūfāñ se bujhā.e na bujhā

    dil meñ jaltā rahā ġham diyā ek baras

    ek lamha bhī gavārā na thā furqat 'sarosh'

    ye bhī kyā kam hai tire ġham meñ jiyā ek baras

    zindagi tujh se bichhaD kar main jiya ek baras

    zahr tanhai ka hans hans ke piya ek baras

    ek andhere ka bhanwar tha mera mahaul magar

    kaam ashkon se charaghon ka liya ek baras

    kisi aandhi kisi tufan se bujhae na bujha

    dil mein jalta hi raha gham ka diya ek baras

    ek lamha bhi gawara na tha furqat ka 'sarosh'

    ye bhi kya kam hai tere gham mein jiya ek baras

    Source:

    Karb-e-Tanhai (Pg. 98)

    • Author: Rifat Sarosh
      • Edition: 1989
      • Publisher: Naurang Kitab Ghar, Noida
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now