Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi uljhi hai bikhre hue gesu ki tarah

Asra Rizvi

zindagi uljhi hai bikhre hue gesu ki tarah

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    zindagī uljhī hai bikhre hue gesū tarah

    ġham piye jaate haiñ umDe hue aañsū tarah

    aaj vahshat ye aalam hai ki har insāñ hai

    dasht-e-tajrīd ke bhāge hue aahū tarah

    zulm aag ugaltā huā sūraj sar par

    tapish-e-dard se har saañs hai ab tarah

    hai gulistāñ meñ tirī gul-badanī shohrā

    kaash guzre idhar se kabhī ḳhushbū tarah

    assī ummīd pe ā.īna-e-dil dhote haiñ

    mun.akis ho koī sūrat mire mah-rū tarah

    shab-e-furqat meñ bhī tanhā.ī mayassar na huī

    laakh ġham ghere rahe mujh ko jafā-jū tarah

    be-dilī shart-e-mulāqāt hai to yuuñ sahī

    ham tire shahr meñ ab ā.eñge sādhū tarah

    Dūbne lagtī hai jab rañg ke sailāb meñ aañkh

    yaad tab us bachā letī hai jaadū tarah

    sarzanish bhī tirī bantī hai sahārā merā

    rāh-e-dushvār meñ phaile hue baazū tarah

    lazzat-e-dahr meñ gum hotā hai jab dil 'asrā'

    tab kasak uThtā hai vo dard ke pahlū tarah

    zindagi uljhi hai bikhre hue gesu ki tarah

    gham piye jate hain umDe hue aansu ki tarah

    aaj wahshat ka ye aalam hai ki har insan hai

    dasht-e-tajrid ke bhage hue aahu ki tarah

    zulm ka aag ugalta hua suraj sar par

    tapish-e-dard se har sans hai ab lu ki tarah

    hai gulistan mein teri gul-badani ka shohra

    kash tu guzre idhar se kabhi KHushbu ki tarah

    assi ummid pe aaina-e-dil dhote hain

    munakis ho koi surat mere mah-ru ki tarah

    shab-e-furqat mein bhi tanhai mayassar na hui

    lakh gham ghere rahe mujh ko jafa-ju ki tarah

    be-dili shart-e-mulaqat hai to yun hi sahi

    hum tere shahr mein ab aaenge sadhu ki tarah

    Dubne lagti hai jab rang ke sailab mein aankh

    yaad tab us ki bacha leti hai jadu ki tarah

    sarzanish bhi teri banti hai sahaara mera

    rah-e-dushwar mein phaile hue bazu ki tarah

    lazzat-e-dahr mein gum hota hai jab dil 'asra'

    tab kasak uThta hai wo dard ke pahlu ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now