Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi waqt ke pheron mein guzar jati hai

Almas Javed

zindagi waqt ke pheron mein guzar jati hai

Almas Javed

MORE BYAlmas Javed

    zindagī vaqt ke pheroñ meñ guzar jaatī hai

    maut chupke se dabe paañv chalī jaatī hai

    log hañste hue chehre ko paḌhā karte haiñ

    hālat-e-dil pe kahāñ kin nazar jaatī hai

    sub.h phir dil meñ ik ummīd jagā detī hai

    shaam phir yuuñ tamāshoñ meñ guzar jaatī hai

    din tirī yādoñ ke saa.e meñ badal jaatā hai

    raat phir ġham ke añdheroñ meñ guzar jaatī hai

    ek ujḌe hue vīrān se ghar se 'almās'

    koī aahaT koī dastak magar aatī hai

    zindagi waqt ke pheron mein guzar jati hai

    maut chupke se dabe panw chali jati hai

    log hanste hue chehre ko paDha karte hain

    haalat-e-dil pe kahan kin ki nazar jati hai

    subh phir dil mein ek ummid jaga deti hai

    sham phir yun hi tamashon mein guzar jati hai

    din teri yaadon ke sae mein badal jata hai

    raat phir gham ke andheron mein guzar jati hai

    ek ujDe hue viran se ghar se 'almas'

    koi aahaT koi dastak si magar aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now