ziya-e-mehr ke paikar mein Dhaal de mujhko
ziyā-e-mehr ke paikar meñ Dhaal de mujh ko
ubhartī sub.h se koī misāl de mujh ko
mire vujūd pe tanhā.iyāñ musallat haiñ
hisār-e-zāt se bāhar nikāl de mujh ko
rivāyatoñ ke dhuñdalkoñ meñ gum rahūñ kab tak
na.e jahāñ kā achhūtā ḳhayāl de mujh ko
tamām 'umr savāloñ se khelnā hī rahā
jo hal na ho sake aisā savāl de mujh ko
tire hisār-e-karam meñ mirā muqaddar hai
'urūj baḳhsh de chāhe zavāl de mujh ko
mirī chamak se agar ḳhīra haiñ tirī āñkheñ
to tīrgī ke samundar meñ Daal de mujh ko
hazāroñ gauhar-e-nāyāb mujh meñ haiñ 'firdaus'
agar talab hai to aa kar khañgāl de mujh ko
ziya-e-mehr ke paikar mein Dhaal de mujh ko
ubharti subh se koi misal de mujh ko
mere wujud pe tanhaiyan musallat hain
hisar-e-zat se bahar nikal de mujh ko
riwayaton ke dhundalkon mein gum rahun kab tak
nae jahan ka achhuta KHayal de mujh ko
tamam 'umr sawalon se khelna hi raha
jo hal na ho sake aisa sawal de mujh ko
tere hisar-e-karam mein mera muqaddar hai
'uruj baKHsh de chahe zawal de mujh ko
meri chamak se agar KHira hain teri aankhen
to tirgi ke samundar mein Dal de mujh ko
hazaron gauhar-e-nayab mujh mein hain 'firdaus'
agar talab hai to aa kar khangal de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.