Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zohra suhail shams KHur badr baha tu kaun hai

Wajid Ali Shah Akhtar

zohra suhail shams KHur badr baha tu kaun hai

Wajid Ali Shah Akhtar

MORE BYWajid Ali Shah Akhtar

    zohra suhail shams ḳhur badr bahā kaun hai

    hosh-rubā sitamgar mah-laqā kaun hai

    bhuut ḳhabīs nāznīñ gul parī balā kahūñ

    dil-lagī achchhī ye nahīñ mujh se hañsā kaun hai

    raag ḳhayāl gaatā hai raqs ḳhushī dikhātā hai

    duur se kyuuñ rijhātā hai paas to aa kaun hai

    band haiñ lab javāb meñ ghir gayā maiñ azaab meñ

    aayā jo mere ḳhvāb meñ aisā burā kaun hai

    ab na payām-e-vasl de hijr kaun ġham sahe

    duur ho duur ho are paas na aa kaun hai

    aayā hai kis ke jaish se boltā hai jo taish se

    maffil-o-bazm-e-aish se duur ho kaun hai

    bol na 'aḳhtar' ab kabhī haT thī ye ek shaḳhs

    tarah jo sab se burī ye to batā kaun hai

    zohra suhail shams KHur badr baha tu kaun hai

    hosh-ruba sitamgar mah-laqa tu kaun hai

    bhut KHabis naznin gul pari bala kahun

    dil-lagi achchhi ye nahin mujh se hansa tu kaun hai

    rag KHayal gata hai raqs KHushi dikhata hai

    dur se kyun rijhata hai pas to aa tu kaun hai

    band hain lab jawab mein ghir gaya main azab mein

    aaya jo mere KHwab mein aisa bura tu kaun hai

    ab na payam-e-wasl de hijr ka kaun gham sahe

    dur ho dur ho are pas na aa tu kaun hai

    aaya hai kis ke jaish se bolta hai jo taish se

    maffil-o-bazm-e-aish se dur ho ja tu kaun hai

    bol na 'aKHtar' ab kabhi haT thi ye ek shaKHs ki

    tarah jo sab se ki buri ye to bata tu kaun hai

    Source:

    Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 182)

    • Author: Farhat Ehsas
      • Edition: 2017
      • Publisher: Rekhta Books
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now