Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf andher karne wali hai

Hatim Ali Mehr

zulf andher karne wali hai

Hatim Ali Mehr

MORE BYHatim Ali Mehr

    zulf andher karne vaalī hai

    tum ne nāgan balā paalī hai

    qalameñ ruḳhsār-e-yār par dekho

    surḳh hai phuul sabz Daalī hai

    ġhair par lutf hai sitam ham par

    un jo baat hai nirālī hai

    vaah kyā muñh se phuul jhaḌte haiñ

    kitnī pyārī tumhārī gaalī hai

    murġh-e-dil bhī hai saath chiḌiyā ke

    jaal añgiyā un jaalī hai

    shab-e-furqat ko dekh baḳht-e-siyāh

    koī bhī raat itnī kaalī hai

    kyuuñ qayāmat chaal chaltī ho

    is meñ āshiq pā.emālī hai

    dahan-e-yār patā na lagā

    baat kahne ko ik banā hai

    nāf-e-ma.ashūq saaf motī

    nannhī-munnī ik pyālī hai

    kyūñkar un ko duuñ mehr-o-mah se misāl

    jin ko da.avā-e-be-misālī hai

    rañg laa.ī gilauriyāñ kah kar

    laal hoñThoñ pe aur laalī hai

    dil tasavvur meñ mahv rahtā hai

    āshiq-e-shāhid-e-ḳhayālī hai

    kyuuñ hañsā.e na mujh se riñd ko bañg

    duḳht-e-raz bahan hai saalī hai

    dam ġhanīmat hai us masīhā

    ab tabīboñ se shahr ḳhālī hai

    ḳhaak uḌaa.ī hai un ke kūche

    ham ne sar par zamīñ uThā hai

    dil mirā le ke arsh par hai dimāġh

    aur ab mizāj-e-ālī hai

    kyuuñ butoñ hameñ mohabbat

    kyā musībat ḳhudā ne Daalī hai

    vaañ kabhī ġhair se kabhī ham haiñ

    roz mauqūfī aur bahālī hai

    de ke ik bosa-e-lab-e-jāñ-baḳhsh

    tan-e-be-jāñ meñ jaan Daalī hai

    kyā balā gorī gorī rañgat par

    zulf kaalī hai aañkh kaalī hai

    haal meñ shā.irī hai ye Dhañg

    apnā jo sher hai vo haalī hai

    dekho mujh par bahut sitam na karo

    paas ai jaan kotavālī hai

    ham se inkār vasl hai abas

    hogī jo baat hone vaalī hai

    un ke kūche meñ ḳhaak ho jaa.eñ

    ham ne ik raah ye nikālī hai

    yaar pahlū meñ hai na jām-e-sharāb

    ye bhī ḳhālī hai vo bhī ḳhālī hai

    hai sitam ye anīle-pan banāo

    kaan meñ ek ek baalī hai

    us ke maz.hab e.atibār hai kyā

    'mehr' ik rind-e-lā-ubālī hai

    zulf andher karne wali hai

    tum ne nagan bala ki pali hai

    qalamen ruKHsar-e-yar par dekho

    surKH hai phul sabz Dali hai

    ghair par lutf hai sitam hum par

    un ki jo baat hai nirali hai

    wah kya munh se phul jhaDte hain

    kitni pyari tumhaari gali hai

    murgh-e-dil bhi hai sath chiDiya ke

    jal angiya ki un ki jali hai

    shab-e-furqat ko dekh baKHt-e-siyah

    koi bhi raat itni kali hai

    kyun qayamat ki chaal chalti ho

    is mein aashiq ki paemali hai

    dahan-e-yar ka pata na laga

    baat kahne ko ek bana li hai

    naf-e-mashuq saf moti ki

    nannhi-munni si ek pyali hai

    kyunkar un ko dun mehr-o-mah se misal

    jin ko dawa-e-be-misali hai

    rang lai gilauriyan kah kar

    lal honThon pe aur lali hai

    dil tasawwur mein mahw rahta hai

    aashiq-e-shahid-e-KHayali hai

    kyun hansae na mujh se rind ko bang

    duKHt-e-raz ki bahan hai sali hai

    dam ghanimat hai us masiha ka

    ab tabibon se shahr KHali hai

    KHak uDai hai un ke kuche ki

    hum ne sar par zamin uTha li hai

    dil mera le ke arsh par hai dimagh

    aur hi ab mizaj-e-ali hai

    kyun buton ki hamein mohabbat di

    kya musibat KHuda ne Dali hai

    wan kabhi ghair se kabhi hum hain

    roz mauqufi aur bahaali hai

    de ke ek bosa-e-lab-e-jaan-baKHsh

    tan-e-be-jaan mein jaan Dali hai

    kya bala gori gori rangat par

    zulf kali hai aankh kali hai

    haal mein shairi ka hai ye Dhang

    apna jo sher hai wo haali hai

    dekho mujh par bahut sitam na karo

    pas ai jaan kotawali hai

    hum se inkar wasl ka hai abas

    hogi jo baat hone wali hai

    un ke kuche mein KHak ho jaen

    hum ne ek rah ye nikali hai

    yar pahlu mein hai na jam-e-sharab

    ye bhi KHali hai wo bhi KHali hai

    hai sitam ye anile-pan ka banao

    kan mein ek ek baali hai

    us ke mazhab ka eatibar hai kya

    'mehr' ek rind-e-la-ubaali hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now