Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai

Sher Singh Naaz Dehlvi

zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai

Sher Singh Naaz Dehlvi

MORE BYSher Singh Naaz Dehlvi

    zulf-e-jānāñ pe tabī.at mirī lahrā.ī hai

    saañp ke muñh meñ mujhe merī qazā laa.ī hai

    aaj mai-ḳhāne pe ghanghor ghaTā chhā.ī hai

    ek duniyā hai ki piine ko umaD aa.ī hai

    zulf-e-shab-rañg hai aks ye paimāne meñ

    parī koī ye shīshe meñ utar aa.ī hai

    batā nāvak-e-jānāñ tirī kyā hai nīyat

    ḳhanjar-e-yār ne to sar qasam khaa.ī hai

    huur o ġhilmāñ mirī āñkhoñ meñ samā.eñ kyuuñ kar

    kis meñ terī adā terī rānā.ī hai

    kuchh mudāvā na huā tum se marīz-e-ġham

    kyā isī barte pe dāvā-e-masīhā.ī hai

    surḳhi-e-ḳhūn-e-shahīdāñ jhalak hai is meñ

    dast-e-qātil pe ġhazab rañg hinā laa.ī hai

    zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai

    sanp ke munh mein mujhe meri qaza lai hai

    aaj mai-KHane pe ghanghor ghaTa chhai hai

    ek duniya hai ki pine ko umaD aai hai

    zulf-e-shab-rang ka hai aks ye paimane mein

    ya pari koi ye shishe mein utar aai hai

    tu bata nawak-e-jaanan teri kya hai niyat

    KHanjar-e-yar ne to sar ki qasam khai hai

    hur o ghilman meri aankhon mein samaen kyun kar

    kis mein teri si ada teri si ranai hai

    kuchh mudawa na hua tum se mariz-e-gham ka

    kya isi barte pe dawa-e-masihai hai

    surKHi-e-KHun-e-shahidan ki jhalak hai is mein

    dast-e-qatil pe ghazab rang hina lai hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    zulf-e-jaanan pe tabiat meri lahrai hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now