Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf-e-KHamdar mein nur-e-ruKH-e-zeba dekho

Zahid Chaudhry

zulf-e-KHamdar mein nur-e-ruKH-e-zeba dekho

Zahid Chaudhry

MORE BYZahid Chaudhry

    zulf-e-ḳhamdār meñ nūr-e-ruḳh-e-zebā dekho

    chashm-e-baddūr mirā husn-e-tamannā dekho

    ab vo ārā.ish-e-gesū se huā hai fāriġh

    ab agar himmat-e-mūsā ho to jalva dekho

    bahr-e-dīdār karo dīda-e-majnūñ paidā

    jur.at-e-shauq se phir jalva-e-lailā dekho

    aaj phir shauq-e-dil-e-zār qismat jaagī

    aaj phir us ne mujhe pyaar se dekhā dekho

    nigah-e-lutf se dekhā hai to Thahro kuchh der

    ab mire dil ke dhaḌakne tamāsha dekho

    jo masīhā.ī se aarī haiñ unheñ kyā ma.alūm

    apne bīmār ko tum ḳhud ḳhudārā dekho

    ḳhud chale aao abhī tār-e-nafas hai baaqī

    ho nahīñ pā.egā phir dil mudāvā dekho

    aa gayā hai vo yahāñ nūr-e-sahar mānind

    khul gayā jabki mire dil darīcha dekho

    be-sabab zulm āñdhī na chalāo mujh par

    yuuñ ujaḌ jā.egā gulzār-e-tamannā dekho

    tum ko kuchh yaad hai ghar ghar meñ mirā charchā thā

    ab usī shahr meñ phirtā huuñ maiñ tanhā dekho

    jo riyā-kār haiñ un se na baḌhāo peñgeñ

    chashm-e-iḳhlās meñ ho jāoge rusvā dekho

    jis bīnā.ī se ik shahr huā thā raushan

    aaj be-nūr hai vo dīda-e-bīnā dekho

    ye samajh lo ki vo hai ilm-o-hunar madfan

    jab kisī shahr meñ tum ġhalba-e-mullā dekho

    zulf-e-KHamdar mein nur-e-ruKH-e-zeba dekho

    chashm-e-baddur mera husn-e-tamanna dekho

    ab wo aaraish-e-gesu se hua hai farigh

    ab agar himmat-e-musa ho to jalwa dekho

    bahr-e-didar karo dida-e-majnun paida

    jurat-e-shauq se phir jalwa-e-laila dekho

    aaj phir shauq-e-dil-e-zar ki qismat jagi

    aaj phir us ne mujhe pyar se dekha dekho

    nigah-e-lutf se dekha hai to Thahro kuchh der

    ab mere dil ke dhaDakne ka tamasha dekho

    jo masihai se aari hain unhen kya malum

    apne bimar ko tum KHud hi KHudara dekho

    KHud chale aao abhi tar-e-nafas hai baqi

    ho nahin paega phir dil ka mudawa dekho

    aa gaya hai wo yahan nur-e-sahar ki manind

    khul gaya jabki mere dil ka daricha dekho

    be-sabab zulm ki aandhi na chalao mujh par

    yun ujaD jaega gulzar-e-tamanna dekho

    tum ko kuchh yaad hai ghar ghar mein mera charcha tha

    ab usi shahr mein phirta hun main tanha dekho

    jo riya-kar hain un se na baDhao pengen

    chashm-e-iKHlas mein ho jaoge ruswa dekho

    jis ki binai se ek shahr hua tha raushan

    aaj be-nur hai wo dida-e-bina dekho

    ye samajh lo ki wo hai ilm-o-hunar ka madfan

    jab kisi shahr mein tum ghalba-e-mulla dekho

    Source:

    Junun-e-Shauq (Pg. 51)

      • Edition: 1999
      • Publisher: Mustafa Waheed
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now