Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf-e-mushkin-e-yar qahri hai

Siraj Aurangabadi

zulf-e-mushkin-e-yar qahri hai

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    zulf-e-mushkīn-e-yār qahrī hai

    kyā qayāmat naag zahrī hai

    dhuup siiñ ġham tāzgī hai use

    dil nahīñ hai gul-e-do-pahrī hai

    zākir-e-ġham kuuñ dil ke halqe meñ

    nāla-o-āh zikr-e-jahrī hai

    dāman-e-yār nahīñ kanārī-dār

    saf.ha-e-jadval-e-sunahrī hai

    vahshī-e-dasht-e-be-ḳhudī hai 'sirāj'

    garche aalam ke nizd shahrī hai

    zulf-e-mushkin-e-yar qahri hai

    kya qayamat ka nag zahri hai

    dhup sin gham ki tazgi hai use

    dil nahin hai gul-e-do-pahri hai

    zakir-e-gham kun dil ke halqe mein

    nala-o-ah zikr-e-jahri hai

    daman-e-yar nahin kanari-dar

    safha-e-jadwal-e-sunahri hai

    wahshi-e-dasht-e-be-KHudi hai 'siraj'

    garche aalam ke nizd shahri hai

    Source:

    Kulliyat-e-Siraj (Pg. 659)

    • Author: Siraj Aurangabadi
      • Edition: 1982,1998
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu
      • Year of Publication: 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now