Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf honi chahiye ruKHsar hona chahiye

Akhtar Azmi

zulf honi chahiye ruKHsar hona chahiye

Akhtar Azmi

MORE BYAkhtar Azmi

    zulf honī chāhiye ruḳhsār honā chāhiye

    shā'irī meñ kuchh ḳhayāl-e-yār honā chāhiye

    'ishq meñ iqrār kuchh lutf lene ke liye

    kam se kam ik baar to inkār honā chāhiye

    ghar kisī phūñk kar tum to bahut masrūr ho

    ab tumheñ to surḳhi-e-aḳhbār honā chāhiye

    aap ko bhī 'ishq meñ phir lutf aa.egā zarūr

    aap mā'shūq bhī makkār honā chāhiye

    pyaar to ik ḳhūb-sūrat āgahī naam hai

    ye junūñ niiñd se bedār honā chāhiye

    rūThnā aur phir manānā ik purānī rasm hai

    ye visāl-o-hijr bāram-bār honā chāhiye

    ik kamī ab bhī hai tere ḳhūb-sūrat shahr meñ

    ik galī meñ pyaar bāzār honā chāhiye

    dekh 'aḳhtar' zarā ā.īna-e-ḳhauf-e-ḳhudā

    ab to terī ruuh singār honā chāhiye

    zulf honi chahiye ruKHsar hona chahiye

    sha'iri mein kuchh KHayal-e-yar hona chahiye

    'ishq mein iqrar ka kuchh lutf lene ke liye

    kam se kam ek bar to inkar hona chahiye

    ghar kisi ka phunk kar tum to bahut masrur ho

    ab tumhein to surKHi-e-aKHbar hona chahiye

    aap ko bhi 'ishq mein phir lutf aaega zarur

    aap ka ma'shuq bhi makkar hona chahiye

    pyar to ek KHub-surat aagahi ka nam hai

    ye junun ki nind se bedar hona chahiye

    ruThna aur phir manana ek purani rasm hai

    ye visal-o-hijr baram-bar hona chahiye

    ek kami ab bhi hai tere KHub-surat shahr mein

    ek gali mein pyar ka bazar hona chahiye

    dekh 'aKHtar' tu zara aaina-e-KHauf-e-KHuda

    ab to teri ruh ka singar hona chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now