Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulm-o-sitam se mujhko wafa ki talash hai

Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

zulm-o-sitam se mujhko wafa ki talash hai

Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi

MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi

    zulm-o-sitam se mujh ko vafā talāsh hai

    ḳhanjar ke dam se āb-e-baqā talāsh hai

    ai mai-kasho ho tum ko mubārak ye mai-kashī

    mujh ko to jām-e-hosh-rubā talāsh hai

    hai sakinān-e-dasht sūkhī huī zabāñ

    kāñToñ ko ek ābla-pā talāsh hai

    kuchh ho sakā na us ko davāoñ se fā.eda

    bīmār-e-ġham ko ab to qazā talāsh hai

    gum-karda-rāh huuñ nahīñ mā'lūm kuchh mujhe

    bhaTke hue ko bāñg-e-darā talāsh hai

    merī ḳhatā na dekh apne karam ko dekh

    tere karam ko ahl-e-ḳhatā talāsh hai

    vaqt-e-aḳhīr ashk-e-nadāmat nikal paḌe

    marte hue 'zakī' ko ḳhudā talāsh hai

    zulm-o-sitam se mujh ko wafa ki talash hai

    KHanjar ke dam se aab-e-baqa ki talash hai

    ai mai-kasho ho tum ko mubarak ye mai-kashi

    mujh ko to jam-e-hosh-ruba ki talash hai

    hai sakinan-e-dasht ki sukhi hui zaban

    kanTon ko ek aabla-pa ki talash hai

    kuchh ho saka na us ko dawaon se faeda

    bimar-e-gham ko ab to qaza ki talash hai

    gum-karda-rah hun nahin ma'lum kuchh mujhe

    bhaTke hue ko bang-e-dara ki talash hai

    meri KHata na dekh tu apne karam ko dekh

    tere karam ko ahl-e-KHata ki talash hai

    waqt-e-aKHir ashk-e-nadamat nikal paDe

    marte hue 'zaki' ko KHuda ki talash hai

    Source:

    Aaina-e-Ayyam (Pg. 31)

    • Author: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Publisher: Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now