zulm sale ne kiya ye dil-e-dil-gir ke sath
zulm saale ne kiyā ye dil-e-dil-gīr ke saath
rakh diyā bāñdh ke chhappar meñ use tiir ke saath
ġhair ko karke rihā yaar bhī tadbīr ke saath
de diyā sañkhiyā thoḌā sā use khiir ke saath
murshidī jaan kā muñh jis ne kiyā thā kaalā
aaj bhāgī hai mirā din bhī usī piir ke saath
vasl kā nīm-maza ho gayā hāsil mujh ko
raat bhar soyā lipaT kar tirī tasvīr ke saath
kī muqaddar kī shikāyat to harāmī ne kahā
terī taqdīr kā likkhā tirī taqdīr ke saath
is tarah phirtā huuñ us shoḳh ke pīchhe pīchhe
jaise itvār lagā rahtā hai har piir ke saath
le ke us shoḳh ko ārām se chhat par soyā
ġhair ko Daal diyā bāñdh ke shahtīr ke saath
phir to hāsil ho maza vasl kā duunā mujh ko
aqd ho jaa.e agar yaar kī ham-shīr ke saath
kam-sinī hī meñ huā shauq-e-asīrī paidā
barsoñ khelā huuñ maiñ darvāze kī zanjīr ke saath
is tarah jumbisheñ de de ke nikālā us ko
aa gayā dil bhī mirā khīñch ke tire tiir ke saath
'būm' sāhab kā yahī mashġhala hai aahaT par
dil ko bahlātā hai har dam tirī tasvīr ke saath
zulm sale ne kiya ye dil-e-dil-gir ke sath
rakh diya bandh ke chhappar mein use tir ke sath
ghair ko karke riha yar bhi tadbir ke sath
de diya sankhiya thoDa sa use khir ke sath
murshidi jaan ka munh jis ne kiya tha kala
aaj bhagi hai mera din bhi usi pir ke sath
wasl ka nim-maza ho gaya hasil mujh ko
raat bhar soya lipaT kar teri taswir ke sath
ki muqaddar ki shikayat to harami ne kaha
teri taqdir ka likkha teri taqdir ke sath
is tarah phirta hun us shoKH ke pichhe pichhe
jaise itwar laga rahta hai har pir ke sath
le ke us shoKH ko aaram se chhat par soya
ghair ko Dal diya bandh ke shahtir ke sath
phir to hasil ho maza wasl ka duna mujh ko
aqd ho jae agar yar ki ham-shir ke sath
kam-sini hi mein hua shauq-e-asiri paida
barson khela hun main darwaze ki zanjir ke sath
is tarah jumbishen de de ke nikala us ko
aa gaya dil bhi mera khinch ke tere tir ke sath
'bum' sahab ka yahi mashghala hai aahaT par
dil ko bahlata hai har dam teri taswir ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.