zulmaton ka jawab de baba
zulmatoñ kā javāb de baabā
ham-safar māhtāb de baabā
us ke jalvoñ ko dekh pā.ūñ maiñ
chashm-e-ḳhīra ko taab de baabā
dushmanoñ kī nazar meñ chubhtā huuñ
surma-e-sadd-e-bāb de baabā
har bashar ehtisāb-ḳhūrda hai
kaun kis ko hisāb de baabā
nafratoñ ke nagar meñ Thahrā huuñ
pyaar kā āftāb de baabā
ḳhāmushī sadd-e-bāb nā-mumkin
kuchh to mujh ko javāb de baabā
ek muddat se hai 'kamāl' udaas
koī taaza gulāb de baabā
zulmaton ka jawab de baba
ham-safar mahtab de baba
us ke jalwon ko dekh paun main
chashm-e-KHira ko tab de baba
dushmanon ki nazar mein chubhta hun
surma-e-sadd-e-bab de baba
har bashar ehtisab-KHurda hai
kaun kis ko hisab de baba
nafraton ke nagar mein Thahra hun
pyar ka aaftab de baba
KHamushi sadd-e-bab na-mumkin
kuchh to mujh ko jawab de baba
ek muddat se hai 'kamal' udas
koi taza gulab de baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.