Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log

Aish Barni

zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log

Aish Barni

MORE BYAish Barni

    zulmatoñ meñ go Thaharne ko Thahar jaate haiñ log

    ahl-e-manzil nigāhoñ se utar jaate haiñ log

    kal talak to husn ma.asūmiyat mashkūk thī

    ab ḳhulūs-e-ishq par bhī choT kar jaate haiñ log

    raah meñ ab vo dar-e-jānāñ ho dair-o-haram

    sar uThā.e be-niyāzāna guzar jaate haiñ log

    zindagī be-sabātī koī ronā nahīñ

    haa.e vo hālāt jab be-maut mar jaate haiñ log

    shaiḳh-sāhib ham siyah-baḳhtoñ pīchhā chhoḌiye

    shaam hotī hai to apne apne ghar jaate haiñ log

    zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jate hain log

    ahl-e-manzil ki nigahon se utar jate hain log

    kal talak to husn ki masumiyat mashkuk thi

    ab KHulus-e-ishq par bhi choT kar jate hain log

    rah mein ab wo dar-e-jaanan ho ya dair-o-haram

    sar uThae be-niyazana guzar jate hain log

    zindagi ki be-sabaati ka koi rona nahin

    hae wo haalat jab be-maut mar jate hain log

    shaiKH-sahib hum siyah-baKHton ka pichha chhoDiye

    sham hoti hai to apne apne ghar jate hain log

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 742)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now