be-shaklo.n ko chehra dene vaalii zaat
be-shaklo.n ko chehra dene vaalii zaat
tere aage mujh faanii kii kyaa auqaat
daad hai saare jangal kii nigaraanii par
gine nahii.n jaate mujh se ek pe.D ke paat
ab mai.n tujh se kahtaa achchhaa lagtaa huu.n
terii hii to paidaa-karda hai.n haajaat
tere huzuur du'aa par qadGan tho.Dii hai
kare kushaada chaahe ko.ii jitne haat
'ilm-o-hikmat jo bhii KHaak u.Daatii hai
tuu hii jaane tuu hii samjhe apnii baat
shab-bedaaro.n par bhii ek nazar maulaa
tuu qaadir hai kar saktaa hai din ko raat

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.