Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chi.Diyo.n kii chahkaar me.n tuu hai

Firdaus Gayavi

chi.Diyo.n kii chahkaar me.n tuu hai

Firdaus Gayavi

MORE BYFirdaus Gayavi

    chi.Diyo.n kii chahkaar me.n tuu hai

    dasht-o-jabal kohsaar me.n tuu hai

    kaliyo.n me.n muskaan hai terii

    gul me.n tuu aur KHaar me.n tuu hai

    teraa jalva har-suu raqsaa.n

    sahraa me.n gulzaar me.n tuu hai

    koyal kii kuu-kuu me.n tuu hai

    paa.el kii jhankaar me.n tuu hai

    phuulo.n me.n KHushbuu hai terii

    saagar aur kohsaar me.n tuu hai

    nadiyo.n kii kilkaarii tujh se

    dariyaa kii raftaar me.n tuu hai

    kheto.n kii hariyaalii tujh se

    aur sabhii ashjaar me.n tuu hai

    terii 'azmat ke sab qaa.il

    achchho.n me.n biimaar me.n tuu hai

    tuu jo chaahe bol uThe but

    aazar ke shahkaar me.n tuu hai

    terii sanaa 'firdaus' kare kyaa

    har zehn-e-bedaar me.n tuu hai

    chi.Diyo.n kii chahkaar me.n tuu hai

    dasht-o-jabal kohsaar me.n tuu hai

    kaliyo.n me.n muskaan hai terii

    gul me.n tuu aur KHaar me.n tuu hai

    teraa jalva har-suu raqsaa.n

    sahraa me.n gulzaar me.n tuu hai

    koyal kii kuu-kuu me.n tuu hai

    paa.el kii jhankaar me.n tuu hai

    phuulo.n me.n KHushbuu hai terii

    saagar aur kohsaar me.n tuu hai

    nadiyo.n kii kilkaarii tujh se

    dariyaa kii raftaar me.n tuu hai

    kheto.n kii hariyaalii tujh se

    aur sabhii ashjaar me.n tuu hai

    terii 'azmat ke sab qaa.il

    achchho.n me.n biimaar me.n tuu hai

    tuu jo chaahe bol uThe but

    aazar ke shahkaar me.n tuu hai

    terii sanaa 'firdaus' kare kyaa

    har zehn-e-bedaar me.n tuu hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now