hamd
sirf itnii hii du'aa maa.ng rahaa huu.n tujh se
saarii duniyaa kaa bhalaa maa.ng rahaa huu.n tujh se
jo zamaane ke liye zaKHm hai.n mere dil me.n
aise zaKHmo.n kii davaa maa.ng rahaa huu.n tujh se
mere jiivan kii sabhii mushkile.n aasaa.n kar de
sirf itnii sii du'aa maa.ng rahaa huu.n tujh se
mohar-ba-lab huu.n zabaa.n se to nahii.n kah saktaa
tujh ko maa'luum hai kyaa maa.ng rahaa huu.n tujh se
shaad-aabaad rahe jis me.n hamesha har shaKHs
aisii duniyaa kii fazaa maa.ng rahaa huu.n tujh se
ghuT rahaa hai jo gunaaho.n se miraa dam 'saaqii'
terii rahmat kii havaa maa.ng rahaa huu.n tujh se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.