jahaa.n me.n hai har-suu tuu jalva-numaa bhii
jahaa.n me.n hai har-suu tuu jalva numaa bhii
makaa.n teraa duniyaa bhii 'arsh-e-‘ulaa bhii
tirii kibriyaa.ii har ik zaat par hai
hai marzii pe terii sazaa bhii jazaa bhii
shajar aur hajar saare mahv-e-sanaa hai.n
ye baaG-e-iram aur arz-o-samaa bhii
jo tuu hogaa KHush mujh se mahshar me.n maulaa
riyaazat kaa merii milegaa sila bhii
tuu 'mohsin' kii nazro.n se hai duur lekin
nahii.n ek pal ke liye tuu judaa bhii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.