tazkira is me.n apne rab kaa hai
tazkira is me.n apne rab kaa hai
she'r is vaaste Gazab kaa hai
ye shajar ye hajar ye dasht-o-jabal
is jahaa.n me.n jo hai vo rab kaa hai
be-sahaaro.n kaa hai sahaaraa tuu
aasraa tuu hii jaa.n-balab kaa hai
jab na duniyaa banii thii ai maulaa
yaa'nii teraa vujuud tab kaa hai
paalne vaalaa saarii duniyaa kaa
dene vaalaa vo rizq sab kaa hai
saare insaa.n kaa ik vahii KHaaliq
vo 'ajam kaa hai vo 'arab kaa hai
us kii hamd-o-sanaa 'fahiim-anvar’
marhala yaabis-o-ratab kaa hai
tazkira is me.n apne rab kaa hai
she'r is vaaste Gazab kaa hai
ye shajar ye hajar ye dasht-o-jabal
is jahaa.n me.n jo hai vo rab kaa hai
be-sahaaro.n kaa hai sahaaraa tuu
aasraa tuu hii jaa.n-balab kaa hai
jab na duniyaa banii thii ai maulaa
yaa'nii teraa vujuud tab kaa hai
paalne vaalaa saarii duniyaa kaa
dene vaalaa vo rizq sab kaa hai
saare insaa.n kaa ik vahii KHaaliq
vo 'ajam kaa hai vo 'arab kaa hai
us kii hamd-o-sanaa 'fahiim-anvar’
marhala yaabis-o-ratab kaa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.