tuu munfarid hai yaa-rab sab se 'aziim-tar hai

taKHliiq-e-gul me.n apnii bas tuu hii jalva-gar hai
mausam badal rahaa hai phuulo.n me.n aa.ii KHushbuu
tere karam se maulaa har barg taaza-tar hai
ham banda-e-zaruurat haajat-ravaa hai tuu hii
teraa karam hai sab par sab kii tujhe KHabar hai
lahro.n kaa yuu.n machalnaa maujo.n kaa yuu.n uchhalnaa
ai kaarsaaz terii qudrat kaa hii asar hai
terii 'inaayato.n se lahraa rahe hai.n paude
gulshan me.n husn teraa sab par tirii nazar hai
sajde me.n hai.n malaa.ik hamd-o-sanaa me.n terii
tujh ko ravaa hai sajda tuu hii 'aziim-tar hai
shaa'ir hu.aa hai 'aKHtar' fazl-o-karam se tere
muKHtaar-e-kul hai tuu hii tuu hii to baa-asar hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.