Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aansuon mein bhiga hai har libas naslon ka

Suryabhanu Gupt

aansuon mein bhiga hai har libas naslon ka

Suryabhanu Gupt

MORE BYSuryabhanu Gupt

    āñ.suoñ meñ bhīgā hai har libās nasloñ

    koī to samajh paatā ġham udaas nasloñ

    kaun ghaaT utreñge ye to raam jāneñ

    duur tak nahīñ koī ġham-shanās nasloñ

    apne dukh se chhoTe haiñ dukh tamām duniyā ke

    muḳhtasar na thā itnā canvās nasloñ

    zindagī nahīñ jaise bhuut koī dekhā hai

    haal kyā sunā.eñ ham bad-havās nasloñ

    dard chandrmukhiyoñ ke gesuoñ se lambā hai

    ḳhud-kushī muqaddar hai devdās-nasloñ

    har qadam pe hote haiñ qatl jis ilāqe meñ

    ab vahī ilāqa hai sab se ḳhaas nasloñ

    bam missileñ dahshat naqlī sarhadeñ vahshat

    ab ilaaj hai sāhib kis ke paas nasloñ

    gaay bail charte haiñ rauñd kar nikalte haiñ

    ye sadī ilāqa hai ghaas ghaas nasloñ

    jhāñkne kueñ meñ bhī aaj kal nahīñ aatā

    bevafā kanhaiyyā hai sūrdās nasloñ

    aansuon mein bhiga hai har libas naslon ka

    koi to samajh pata gham udas naslon ka

    kaun ghaT utrenge ye to ram hi jaanen

    dur tak nahin koi gham-shanas naslon ka

    apne dukh se chhoTe hain dukh tamam duniya ke

    muKHtasar na tha itna canwas naslon ka

    zindagi nahin jaise bhut koi dekha hai

    haal kya sunaen hum bad-hawas naslon ka

    dard chandrmukhiyon ke gesuon se lamba hai

    KHud-kushi muqaddar hai dewdas-naslon ka

    har qadam pe hote hain qatl jis ilaqe mein

    ab wahi ilaqa hai sab se KHas naslon ka

    bam missilen dahshat naqli sarhaden wahshat

    ab ilaj hai sahib kis ke pas naslon ka

    gay bail charte hain raund kar nikalte hain

    ye sadi ilaqa hai ghas ghas naslon ka

    jhankne kuen mein bhi aaj kal nahin aata

    bewafa kanhaiyya hai surdas naslon ka

    Source:

    Hindustani Gazle.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now