Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan jate hain hum koi kahani chhoD jate hain

Uday Pratap Singh

jahan jate hain hum koi kahani chhoD jate hain

Uday Pratap Singh

MORE BYUday Pratap Singh

    jahāñ jaate haiñ ham koī kahānī chhoḌ jaate haiñ

    zarā pyaar thoḌī javānī chhoḌ aate haiñ

    kahānī raam van-vāsiyoñ par faḳhr kartī hai

    usūloñ ke liye jo rājdhānī chhoḌ aate haiñ

    hamāre mai-kade ḳhaas ye dastūr hai vaa.iz

    yahāñ aa.e to bāhar bad-gumānī chhoḌ aate haiñ

    kahīñ par dil nahīñ miltā kahīñ mahfil nahīñ miltī

    isī chakkar meñ ham shāmeñ suhānī chhoḌ aate haiñ

    kabhī jab ḳhud se milne zarūrat pesh aatī hai

    sunahre ḳhvāb bāteñ āsmānī chhoḌ aate haiñ

    mohabbat meñ 'uday' denā na dil kam-zarf logoñ ko

    na.ī dhun meñ jo chīzeñ purānī chhoḌ aate haiñ

    jahan jate hain hum koi kahani chhoD jate hain

    zara sa pyar thoDi si jawani chhoD aate hain

    kahani ram ki wan-wasiyon par faKHr karti hai

    usulon ke liye jo rajdhani chhoD aate hain

    hamare mai-kade ka KHas ye dastur hai waiz

    yahan aae to bahar bad-gumani chhoD aate hain

    kahin par dil nahin milta kahin mahfil nahin milti

    isi chakkar mein hum shamen suhani chhoD aate hain

    kabhi jab KHud se milne ki zarurat pesh aati hai

    sunahre KHwab baaten aasmani chhoD aate hain

    mohabbat mein 'uday' dena na dil kam-zarf logon ko

    nai ki dhun mein jo chizen purani chhoD aate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now