Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon ka apna koi pariwar nahin hota

Ashok Rawat

phulon ka apna koi pariwar nahin hota

Ashok Rawat

MORE BYAshok Rawat

    phūloñ apnā koī parivār nahīñ hotā

    ḳhushbū apnā koī ghar duvār nahīñ hotā

    ham guzre kal ā.ankhoñ sapnā to haiñ

    kyuuñ māneñ sapnā koī sākār nahīñ hotā

    is duniyā meñ achchhe logoñ bahumat hai

    aisā agar na hotā ye sansār nahīñ hotā

    kitne achchhe hoñ kāġhaz paanī ke rishte

    kāġhaz naav se dariyā paar nahīñ hotā

    himmat haare to sab kuchh nā-mumkin lagtā hai

    himmat kar leñ to kuchh bhī dushvār nahīñ hotā

    ve dīvāreñ ghar jaisā sammān nahīñ pātīñ

    jin meñ koī khiḌkī koī duvār nahīñ hotā

    phulon ka apna koi pariwar nahin hota

    KHushbu ka apna koi ghar duwar nahin hota

    hum guzre kal ki aaankhon ka sapna hi to hain

    kyun manen sapna koi sakar nahin hota

    is duniya mein achchhe logon ka hi bahumat hai

    aisa agar na hota ye sansar nahin hota

    kitne hi achchhe hon kaghaz pani ke rishte

    kaghaz ki naw se dariya par nahin hota

    himmat haare to sab kuchh na-mumkin lagta hai

    himmat kar len to kuchh bhi dushwar nahin hota

    we diwaren ghar jaisa samman nahin patin

    jin mein koi khiDki koi duwar nahin hota

    Source:

    Hindustani Gazle.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now