Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab rang uDe hain tan-man ke kis munh se gaun phag sakhi

Ashu Jha 'Naqqash'

sab rang uDe hain tan-man ke kis munh se gaun phag sakhi

Ashu Jha 'Naqqash'

MORE BYAshu Jha 'Naqqash'

    sab rang uḌe haiñ tan-man ke kis muñh se gā.ūñ phaag sakhī

    maiñ tose piir kahūñ man maiñ sājan paayo ghaag sakhī

    pathrā.ī āñkhoñ se nis-din maiñ baaT nihārūñ pirītam

    pāthar se badrā bah nikle par badle nāhīñ bhaag sakhī

    jo maiñ kesariyā maañg bharūñ vo bhagvā rang chaḌhā leve

    jo maiñ pālūñ anurāg sakhī vo apnāve bairāg sakhī

    us bansī se kah do ki duujī bastī meñ taan bhare

    jab mohe nahīñ chheḌat mohan maiñ kyuuñ kar chheḌūñ raag sakhī

    phāgun mast bayār aa.ī aamoñ ke pahle baur aa.e

    mere hiy meñ Dol ga.e sau sau baurā.e kaale naag sakhī

    mere do nainan shringār bhare aur us ke haiñ añgār bhare

    mere man meñ koyal kuuke hai aur us ke man meñ kaag sakhī

    maiñ us priit meñ jag bisrī vo merī sudh bhī let nahīñ

    'naqqāsh' se kahiyo aave to dho kar aave daag sakhī

    sab rang uDe hain tan-man ke kis munh se gaun phag sakhi

    main tose pir kahun man ki main sajan payo ghag sakhi

    pathrai aankhon se nis-din main baT nihaarun piritam ki

    pathar se badra bah nikle par badle nahin bhag sakhi

    jo main kesariya mang bharun wo bhagwa rang chaDha lewe

    jo main palun anurag sakhi wo apnawe bairag sakhi

    us ki bansi se kah do ki duji basti mein tan bhare

    jab mohe nahin chheDat mohan main kyun kar chheDun rag sakhi

    phagun ki mast bayar aai aamon ke pahle baur aae

    mere hiy mein Dol gae sau sau baurae kale nag sakhi

    mere do nainan shringar bhare aur us ke hain angar bhare

    mere man mein koyal kuke hai aur us ke man mein kag sakhi

    main us ki prit mein jag bisri wo meri sudh bhi let nahin

    'naqqash' se kahiyo aawe to dho kar hi aawe dag sakhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now