Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

siyahiyon ka taraf-dar ho nahin sakta

Deshraj Kaif

siyahiyon ka taraf-dar ho nahin sakta

Deshraj Kaif

MORE BYDeshraj Kaif

    siyāhiyoñ taraf-dār ho nahīñ saktā

    mire ḳhilāf mirā yaar ho nahīñ saktā

    karam kiye haiñ bahut maiñ ne ye pata hai use

    vo merī raah dīvār ho nahīñ saktā

    ab us ko dekh ke hairat meñ haiñ jo kahte the

    masīhā to kabhī bīmār ho nahīñ saktā

    ise chalāne fan bas mujhe aatā hai

    mire safīne se to paar ho nahīñ saktā

    ye tiir sīdhe mirī piiTh meñ lagā hai 'kaif'

    mire harīf ye vaar ho nahīñ saktā

    siyahiyon ka taraf-dar ho nahin sakta

    mere KHilaf mera yar ho nahin sakta

    karam kiye hain bahut main ne ye pata hai use

    wo meri rah ki diwar ho nahin sakta

    ab us ko dekh ke hairat mein hain jo kahte the

    masiha to kabhi bimar ho nahin sakta

    ise chalane ka fan bas mujhe hi aata hai

    mere safine se to par ho nahin sakta

    ye tir sidhe meri piTh mein laga hai 'kaif'

    mere harif ka ye war ho nahin sakta

    Source:

    Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now