Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam umr main ek ajnabi ke ghar mein raha

Gopaldas Neeraj

tamam umr main ek ajnabi ke ghar mein raha

Gopaldas Neeraj

MORE BYGopaldas Neeraj

    tamām umr maiñ ik ajnabī ke ghar meñ rahā

    safar na karte hue bhī kisī safar meñ rahā

    vo jism thā jo bhaTkā kiyā zamāne meñ

    hirdai to merā hamesha tirī Dagar meñ rahā

    DhūñDhtā thā jise ke burj-e-bābul meñ

    vo shaḳhs to kisī miirā chashm-e-tar meñ rahā

    vo aur the jinheñ thī ḳhabar sitāroñ

    mirā ye desh to roTī ḳhabar meñ rahā

    hazāroñ ratan the us jauhrī jholī meñ

    use na kuchh bhī milā jo agar-magar meñ rahā

    tamam umr main ek ajnabi ke ghar mein raha

    safar na karte hue bhi kisi safar mein raha

    wo jism hi tha jo bhaTka kiya zamane mein

    hirdai to mera hamesha teri Dagar mein raha

    tu DhunDhta tha jise ja ke burj-e-babul mein

    wo shaKHs to kisi mera ki chashm-e-tar mein raha

    wo aur hi the jinhen thi KHabar sitaron ki

    mera ye desh to roTi ki hi KHabar mein raha

    hazaron ratan the us jauhri ki jholi mein

    use na kuchh bhi mila jo agar-magar mein raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now