Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarz-e-taqrir apni zara dekh le

Rashmii Sharma

tarz-e-taqrir apni zara dekh le

Rashmii Sharma

MORE BYRashmii Sharma

    tarz-e-taqrīr apnī zarā dekh le

    sar pe taarī hai tere nasha dekh le

    daaġh auroñ ke sab ko dikhātā hai kyā

    kahne vaale kabhī aa.inā dekh le

    mustamid koī gar ho to hāzir haiñ ham

    nek niyyat meñ rahtā ḳhudā dekh le

    be-ḳhayālī meñ had se na aage nikal

    jo bhī kah magar dā.era dekh le

    tarz-e-taqrir apni zara dekh le

    sar pe tari hai tere nasha dekh le

    dagh auron ke sab ko dikhata hai kya

    kahne wale kabhi aaina dekh le

    mustamid koi gar ho to hazir hain hum

    nek niyyat mein rahta KHuda dekh le

    be-KHayali mein had se na aage nikal

    jo bhi kah tu magar daera dekh le

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now