qadam aahista rakh ye samne darbar-e-shahi hai
qadam āhista rakh ye sāmne darbār-e-shāhī hai
yahāñ kā zarra zarra mahv-e-azkār-e-ilāhī hai
dar-e-asrār par aatā hai jo koī 'aqīdat se
vo qismat kā dhanī hai yā'nī us kī bādshāhī hai
'adāvat jis kisī ke dil meñ hai allāh vāloñ kī
vo hai dushman ḳhudā kā us kī qismat meñ tabāhī hai
yahāñ ahl-e-‘aqīdat pesh karte haiñ salām-e-shauq
yahāñ haiñ shab ke naale aur āh-e-sub.h-gāhī hai
qadam aahista rakh ye samne darbar-e-shahi hai
yahan ka zarra zarra mahw-e-azkar-e-ilahi hai
dar-e-asrar par aata hai jo koi 'aqidat se
wo qismat ka dhani hai ya'ni us ki baadshahi hai
'adawat jis kisi ke dil mein hai allah walon ki
wo hai dushman KHuda ka us ki qismat mein tabahi hai
yahan ahl-e-‘aqidat pesh karte hain salam-e-shauq
yahan hain shab ke nale aur aah-e-subh-gahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.